Advertisement

Bees Tarabee ki Sahi Hadees.

 Lo mar jao


20 Raka'at Taraweeh ka saboot:


(1) Hazrat Yazid Bin Rumaan bayan karty hain k "Hazrat Umer Bin Khattab Radi Allaho anh k door main log (witar mila kar) 23 raka'at parhte the.

"Is Hadith ko Imam Malik aur Imam Bayhaqi nain riwayat kiya hai.

References:

From : Muwatta Imam Malik

Book : As Salah Fi Ramdan

Chapter : Targheeb fis Salah fir Ramdhan

Volume : 1

Page : 115

Hadith number : 252

From : Bayhaqi

Book : Sunan Al Kubra

Volume : 2Page : 496

Hadith number : 4394


(2) Imam Abu 'Isa Tirmidhi ne apni sunan main farmaya:

"Aksar Ahl-e-Ilm ka mazhab bees (20) raka'at taraweeh hai jo k Hazrat Ali aur Hazrat Umar (Radi ALLAH Ta'ala 'Anhuma) aur HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k deegar Ashaab se marwi hai.

Aur yahi (Kabaar Tabi'en) Sufyan thawri, Abdullah Bin Mubarak aur Imam Shafi' ka qool hai.

Aur Imam Shafi' ne farmaya: main ne apne shahar Mecca main (Ahl e Ilm ko) 20 Raka'at taraweeh parhty paya.

Reference

From : jami' Tirmidhi

Book : As Saum

Chapter : Qayam Sahr Ramadhan

Volume : 3

Page : 169

Hadith number : 806


(3) Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi ALLAH Ta'ala 'Anhu) say marwi hay, farmaya k

"HUZUR AKRAM (SalAllaho Alaihe Wasallam) Ramzan ul Mubarak mein witar k ilawa bees (20) raka'at taraweh padhte the."

References

From : Ibn e Abi Shaibah

Book : Al Musannaf

Volume : 2

Page : 163

Hadith number : 7692

From : Ma'jam Al Kabeer Imam Tabrani

Volume : 11

Page : 393

Hadith number : 12102

From : Bayhaqi in Sunan Al Kubra

Volume : 2

Page : 496

Hadith number : 4391


(4)Abu khaseeb nain bayan kiya ke

"Hamen Suwaid bin Ghaflah maah-e-ramzan mein namaz e taraweeh paanch

(5) tarweehon (bees rakaton) main parhate the."

Note : 4 rakat taraweeh mukammal honay par 1 tarweeh mukammal hoti hai.

Is Hadith ko Imam bayhaqi nain rawyat kiya hy aur iski Sanad Hassan hai. Aur Imam bukhari ne ise Al Kuna main rawayat main kiya hai.

References

From : Bayhqi

Book : Sunan Al Kubra

Volume : 2

Page : 446

hadith number : 4395

From : Bukhari

Book : Al Kuna

Volume : 1

Page : 28

Hadith number : 234


(5) Hazrat Shutayr bin Shakal se riwayat hai aur wo Hazrat Ali (Radi ALLAH T'ala Anhu) ke Ashaab mein se the

"Hazrat Ali (Radi ALLAH T'ala Anhu) ramzan mein bees (20) rakat taraweeh aur teen (3) witar parhate the."

Reference

From : Bayhaqi

Book : Sunan Al Kubra

Volume : 2

Page : 496

Hadith number : 4395


(6) Imam Yahya bin Sa'id bayan karte hain ke

"Hazrat Umar Bin Khattab (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) ne ek shakhs ko hukam diya k wo inhe (muslmanon ko) bee (20) rakat taraweeh padhaye."

Note : Is hadith ki sanad Mursalan Qawi hai

References

From : Ibn e Abi Shaibah

Book : Al Musannaf

Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen

Volume : 5

Page : 163

Hadith number : 7682


(7) Hazrat Abi Al Bukhtariyy sae riwayat hai ke wo Ramzan-Ul-Mubarak mein paanch (5) tarweehon (yani bees (20) rakatain) aur teen (3) witar parha karte the.

Note : Is Hadith ki Sanad Sahi hai.

Reference

From : Ibn e Abi Shaibah

Book : Al Musannaf

Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain padhi jaen

Volume : 2

Page : 163

Hadith number : 7686


(8) Hazrat Hasan (Basri) (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) se marwi hai ke

"Hazrat Umar Bin Khattab (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) ne logon ko Hazrat Ubayy bin Ka'b (Radi ALLAH Ta'ala Anhu) ki Iqtida main Qayam-e-Ramzan k liye ikatha kiya to wo unhain bees (20) rakat parhate the."

References

From : Imam Zahabi

Book : Sayyir Al A'laam An Nubala

Volume : 1

Page : 400

From : Ibn e Hajr 'Asqalani

Book : Talkhees Al Habeer

Volume : 2

Page : 21

Hadith number : 540

From : Ibn e Qudamah

Book : Al Mughna

Volume : 1

Page : 456

From : Imam Jalal ud Din Suyuti

Book : Tanweer Al Hawalik

Volume : 1

Page : 104

From : Ibn e Taymiyyah

Book : Majmu' Al Fatawa

Volume : 2

Page : 401


Iske ilawah darjano ahadith kareema mukhtalif rawiyon se maujud hain.

Musalmano Is fitnah bhare daur mein. 

Yeh dar asal nafs aur shaitan ki pairwi karte hain is liye kahin ibadat half kar dete hain to kahi pura saaf jaise nisf shaba'an ki ibadat. 

1400 saal se sabka 20 rakaat par hi amal raha hai Sahabah, Tabayeen, Taba Tabayeen charo imam, Salfus saleheen sab ke nazdeek 20 rakaat hi hai. 

Aj bhi Makkak Madinah mein 20 rakaat taraweeh hoti hai.

Bees rakat Tarabee hadees.
Tarabee bees ya aath 
Tarabee kitni hn 8 ki 20
Previous
Next Post »